top of page

LYRICS

306A9842_edited.png

Aa Raha Hoon Main

 

Aa Raha Hoon Main

​

Based on: Jeramiah 1 : 4, I Thessalonians 4 : 16
Words & Music: R
anjit Abraham


Jab main mila Masih seh
Usne mer dil ke andhakaar hataaya
Usne kiya meri zindagi abaad
Usne kaha tu Mere 
Vachan ki gehrai main badhta jaa
Aur Mere shakthi ki mahima tu dekh

​

Tere garbh mein rachne se pahle
Tujh par chit hai lagaaya
Tere utpanna hone se pahle
Abhishek se poora tujhe hai kiya

​

Phir kyun tu bechain
Kaha tere sang Main rahoonga
Har shaam…. savere
Yeh hai mera vaada
Mushkil te
re zindagee main
Kasht na bane 
Sab kuch aasaan banane
Aa raha hoon main

​

Yeshu ka aagaman 
Ansuljhi paheli jaisa mushkil hoga
Dev doot ka shabdh sunai degaa
Aur jo Masih mein maren 
Jee uthenge woh sab Uss se megh mein milne
Aur naa hogi mrithyu aur naa andhera

Bulaawa

 

Bulaawa

​

Based on:  Acts 4:12, Rev 3:20, John 11:25, Heb 12:12, 2 Tim 4:7, Phil 4:21
Words & Music: Ranjit Abraham

 

Jagat ka paap mitane wala

Galeel ki sadakon pe jab chala
Useh dekh ke log yeh kehane lage
Ki woh Masiha hai
Kaiyon ne kaha ‘Hei Rabbi’ 
Tu Khudawant anokha hai

​

    Uska hai bulaawa 
   Kareeb tu uske aajaa
   Krush utha apna
      Sab kar inkaar
      
      Yeshu hai tere praan ka mukthidaata
      Aisa koi naam nahi jag mein
      Mukthi jo dilaa sake
      Tere hruday ke dwaar pe woh khada
      Kar rahaa Yeshu tera intezaar
      Sun uski pukaar tu kar usko sweekaar

​

Toofaan thama uske kehne pe
Changa huve log uske choone se
Uskeh vachan ki shakthi hamare vichaaron ko jaanche
Khuda ka eklauta puthra humaare liye hai aayaa

​

    Uska hai bulaawa, bulaawa
   Yeshu mein tu samaa ja
   Sab kuch chod tu thaam le uskaa haath
      Yeshu hi hai maarg aur satya aur jeevan
      Dooja koi naam nahi jag mein 
      Uddhaar jo kar sake
      Mahimaa mein who lipte huve 
      Yeshu hoga viraajmaan
      Har lafz karegi uski jay jay kaar

​

Bridge:
   Dheeraj se yeh daud hume hai lagaana
      Apne vishwaas ko dhrud karein
      Dharm ke mukut ki hum itcha karein
      Jeena hai to Masih mein hai jeena
      Marna mujhe bas laabh hai

      Usme baskar uske gunn prakatt karein
 

Dua (Prayer)

Dua (A tribute to ‘PETRA’) 

Based on: 1 Thessalonians 5:17-18, Ephesians 6:18-19, Matthew 6:9-13
Words and music by ‘PETRA’s Bob Hartman and John Elefante 
Transliterated in Hindi by Ranjit Abraham & Ps. Kartik Joshua

 

Kehata hoon shukriya Tujhe ki Prabhu Tu hai mahaan
Aayaa bachaane manushya ko jo tha doo bhatak gaya
Putra bana liya mujhe karne Teri seva
Prabhu jo aashish di Tuney hai mere mangne se zyaada
Mere apnon ko sambhaal mere daataa
Soonapan door kar jab mein na rahoon
Akelapan mera Tu bhar Prabhu… hey Prabhu

​

Chorus:
      Yeh Dua hai meri jo mein Tujhse karta hoon
      Mere khayaal se badhkar kartaa Tu mera khayaal
      Yeh Dua hai meri jo mein Tujhse karta hoon
      Hove Teri marzi yeh dua mein kartaa hoon

​

Prabhu Tere iss dayaa ki mein ek saakshi ban sakoon
Sangharsh bhari yeh peedhi jo Tujhe dhoondti hai har haal
Wey samjhe Tere iss pyaar ko khul jaayen aankhen unki
De mujhe avsar ki karoon bayaan ki paayen woh nijaat

​

Rahe yeh naaraa Teri mandli kaa
Har haal mein ekaatmak rahein
Bedaari ki agni yahaan jale…. yahaan jale

​

Repeat Chorus

​

Bridge:
   Antim samay mein hum khade hain
   Bhatke huvey desh ko le aa tere paas
        Bacha shaitan se jo karta hai sarvanaash
        Chala Teri raahoon par le jaa us paar
        Tere rajya ke aane takk rakh humein ujaale mein
        Aur sab hovey samapth
   
Yeh Dua hai meri jo mein Tujhse karta hoon
Mere khayaal se badhkar kartaa Tu mera khayaal
Yeh Dua hai meri jo Tere naam se karta hoon
Hove Teri marzi yeh dua mein kartaa hoon
Tere naam se karta hoon
Yeh Dua hai meri… Yeh Dua hai meri

Ek Aag Har Dil Mein

Ek Aag Har Dil Mein

Words: Bro. Elisha Ratnavelu
Music: Ranjit Abraham

 

Ek aag har dil mein humko jalaana hai
Bhatke hue dil ko Prabhu se milaana hai
Ek aag har dil mei humko jalaana hai
Bhatke hue dil ko Prabhu se milaana hai
Han Han……

Sansaar ki aasha bhari nazarein hum hi par hein
Uddhar ka sandesh bhi kaandho ke upar hai        (2)
Ek deep se laakhon diye humko jalaana hai 
Bhatke hue dil ko Prabhu se milaana hai

Han Han……

Itne saral ye raste kal na khule honge
Prachaar ke awasar hamein hansil nahi honge    (2)
Taiyaar rahna kal hamein khud ko mitaana hai 
Bhatke hue dil ko Prabhu se milaana hai

Han Han…… (Lead Interlude)

Taiyaar rahna kal hamein khud ko mitaana hei 
Bhatke hue dil ko Prabhu se milaana hei

Han Han……
Han Han……

Ezekiel Chapter 37

 

Ezekiel Chapter 37 

 


Based on:  Ezekiel: 37
Words & Music: Ranjit Abraham


Yehova ki shakthi mujhpar utri
Uski aatma samwakar mujhe le baahar aayi
Sookhe ek taraai ke beech mei ab hoon main khada
Charoon taraf hai sookhi haddiyan

    Kya yeh jeevit hongey 


   Dikhaaya usneh mujhseh poocha
   Meine tab unse kaha
      Tu hai Khuda, tu hai sab kuch jaanta
      Ek senaa mein inme dekh rahaa

​

Yehova ke vachan ko haddiyon se mein kehne lagaa
Unpar uski saans samaane lagi
Nasein unpar utpann huvee
Chamdon se thapne weh lagay
Taraai kaa sannatta shor se goonjne lagaa

​

Bridge:
   Mujhe abhishek usneh kiya
   Ke milaap ki sevaa hum kareyn
   Bekhabar is paapi peedhi ko
   Prakash ki aur hum le chalein

Ek senaa mein inme dekh rahaa

​

Haan yeh jeevit hongey 
Apney aankhon se mein yeh dekh rahaa
Meine sabseh kehne lagaa
Woh hai Khuda, woh hai sab kuch jaanta
Ek senaa mein bante dekh rahaa

​

Yehova ki shakthi mujhpar utri
Uski aatma samwakar mujhe le baahar aayi
Sookhe ek taraai ke beech mei ab tak main khada
Jeevit ho uthee hain sookhi haddiyan

Gaaoonga Main

 

Gaaoonga Main
(Psalms 102 : 1, Isaiah 49 : 14 - 16)

​

Hey Yehova….. Mann se main gaaoon dhanya Tu
Chand – tare, Tere hathon ki rachana hai sampoorn
Tera pyaar apaar, samajh ke bahar hai zaroor
Mera sarv Tu, Duhai karta hai kubul

​

Meri aayu dhalti ek chaaya ke samaan hai
Sookhe ghason jaise hai praan
Teri daya mere jeevan me ek upahaar hai
Naa koi Tere samaan

​

Gaaoonga main Yeshu ke gunn
Uske lahoo se main changa hua
Gaaoonga main Yeshu ke gunn
Usne mujhe naya jeevan diya

​

Hey Yehova….. Mann se main gaaoon dhanya Tu
Chand – tare, Tere hathon ki rachana hai sampoorn
Tera pyaar apaar, samajh ke bahar hai zaroor
Mera sarv Tu, Duhai karta hai kubul

​

Apne hathon main mujhe aise sambhala
Thokar naa khane diya
Apne jighar se Usne hai mujhe lagaaya
Ninda na hone diya

​

Rap
      Kroosh par Yeshu ne diya balidaan
      Kaha anth tak rahunga mein tere saath
      Iss duniya ke jann mukhrein
      Yug yug thame rahega woh tera haath
      Tere shaap karta woh sab sarvanaash
      Paap tere himm jaise ho jaayenge weh saaf
      Apna badal mann Yeshu ke liye
      Kar us par tu dhrid vishwaas 

Mein Hoon Yahaan

 

 

Mein Hoon Yahaan

 


Based on:  Isaiah 6:8, Mat 7:13, Luke 10:2, Rom 10:14
Words: Ranjit Abraham M
usic: David Clifton Crimson & Ranjit Abraham

​

Krush ke sacche pyaar ne mujhe ubaaraa
Ik naya naam mujhe diya
Usne mere hruday kaa nav nirmaan kiya
   
      Uske prem ki gawaah hum sab bane
      Sahi maarg hum unhein dikhaayen
      Ki naya jeevan woh paayen 

​

      Samy woh hai kareeb 
      Jab har zubaan milkar kahegi
      Ke Yeshu Masih hai Prabhu
      Is naam mein hai aazaadi

​

      Utho aur neend se jaago, pehchano
      Khuda yeh kah raha
      Ki hum baantein susamaachaar

​

Mein hoon yahaan, le jaa mujhe har koney mein
Har koney mein vachan ka prachaarak banaa
Andhkaaar ke daldal mein jo fase hain 
Unhein Yeshu seh milaa
Pakay kheth tu dekh, ve hai vishaal
Mazdoor bhi hai kam
Bhediyon ke beech, bhed samaan 
Ek hokkar niklein hum

​

      Dhoondo tum avashya paaoge
      Khule dil se maango tum
      Khat khataane par khulegaa

​

      Uske prem ki gawaah hum sab bane
      Sahi maarg hum unhein dikhaayen
      Ki naya jeevan woh paayen

​

Mein hoon yahaan………Ek hokkar niklein hum

Mujhe Aazaad Kiya

 

Mujhe Aazaad Kiya

​

Based on: John 3: 16, Mathew 6:26, Rom 8:15
Words: Ranjit Abraham 
Music: Ranjit Abraham & Siddharth Kamath

 

Pitha Parmeshwar ne humse
Anokha prem hai dikhaayaa
Apna priya puthra hume diya…
Vishwas us par jo bhi kare
Ananth jeevan woh paayegaa
Masih mein bane who shristi nayaa…

​

    Woh mere aaraadhana ke yogye hai
   Poorna samarpan mein kartaa hoon tujh ko Khuda
   Pukaar rahaa mein Abba hey Pitha
        Bhar mujh mein Pavithrathmaa
        Tere pyar ne mujhe aazaad kiya….

​

Aakaash mein udte panchi
Na weh botein hain aur naa weh batorein
Prabhu rakhta un sab kaa khayaal
Hum unse zyaadaa mulye hai rakhte
Kyonki hum uske hai khareede
Wah karta humse beshumaar pyaar

​

    Woh mere aaraadhana ke yogye hai
   Poorna samarpan mein kartaa hoon tujh ko Khuda…..


Tere pyar ne mujhe aazaad kiya….
Tere pyar ne mujhe aazaad kiya….

​

       Tu mere aaraadhana ke yogye hai
       Poorna samarpan mein kartaa hoon tujh ko Khuda
       Tu mere aaraadhana ke yogye hai
       Poorna samarpan mein kartaa hoon tujh ko Khuda
      
Tere pyar ne mujhe aazaad kiya….

Naara Yeshu Kaa

 

Aa Raha Hoon Main

​

Based on: Psalms 8:3-4,Psalms 30:11, Romans 8:38-39
Words: Ranjit Abraham Music: Ranjit Abraham & Siddharth Kamath

​

Teri mahimaa aur saamarth ka varnan
Zubaan par mere nirantar rahegi mere prabhu mere Khuda
Tu hai mahaan

​

Tune Mujh mein kya dekha
Mere aansuvon ko tune khushi mein badal hi diya
Mein tha naadaan

​

      Tere prem ki gehraai mein humko le jaa
      Aguvai kar humkoh sikha
      Tera pyar woh hamaari samajh ke hai paar

​

Gaayenge hum Halleluyah
Paapon se humein tooney chudaayaa
Sthuthi aur saamarth mahima sammaan
Hovey teri hameshaa Khudaa

​

Bridge:
   Uske pyaar se koi mujhe alag na kar sakeh
   Mere apraadhon ko usneh kiya hai kshamaa
   Uske pyaar se koi mujhe alag na kar sakeh
   Rishta hai mera Yeshu seh atoot
   Woh mujhmein hai aur mein usme bassoon

​

Chorus:
   Naara Yeshu ka hum lagaayein
   Uski shakhti se aagey badhein
   Uska vaadaa hai woh mere sangh hain
   Apni dhrushthi hum uspar lagaayein
        Humaarey vishwaas ko woh siddh karey
        Ananthtaa mein hum uskeh sangh rahein

 

Naya Jeevan

 

Naya Jeevan

​

Based on: 2 Timothy 2:8, Rev 22:13, John 1:3
Words & Music: Ranjit Abraham

 

Aataa hoon mein tere paas
Tere pyar ke mein yogya na tha,
Bandhan se mujhe kiya azaad,
Tere lahoo ki keemat mein na chuka paaoonga
Tune ninda sahi aur peeda saha
Mere liye krushit hua 
Naya jeevan tune daan kiya.

​

Tu hai mera paalanhaar
Sooryoday se sooryasth tak
Ho teri sthuthi aur sammaan
Hoon mein tera shukraguzaar
Tere pyar ne kiya hai who anokha karaar
Karoonga mein bayaan, ki tu hai zinda Khuda
Na koi tere samaan
Mera Yeshu

​

Bridge:
   Aadi aur anth tu hi prabhu,
   Alpha aur Umega tu hai sadaa
   Tune sirf  kahaa aur sab kuch hua
        Tere prem ki mahimaa hum gaayenge sadaa
        Tu hai zinda Khuda jo murdon mein se hai jee uthaa…

​

Tere lahoo ki keemat mein na chuka paaoonga
Tune ninda sahi aur peeda saha
Mere liye krushit hua
Tu hai zinda Khuda
Na koi tere samaan

 

Shakthi Yeshu Naam Mein

 

Shakthi Yeshu Naam Mein

​

Based on: Luke 18: 35 – 43
Words & Music: Ranjit Abraham

​

Naa thi koi aasha useh
Aur na thi k
oi useh ummeed
Bebas uski thi zindagee
Aur naa dikhaya logon ne preet.

​

Oonche sur main Yeshu ko pukaara,
Mujh par dikha daya
Vishwas Yeshu uska dekha aur kaha

​

Tere dil ki fariyad ko sun 
Aa rahan hoon tere paas
Kah apne man ki tu baat 
Bina sankoch ka

​

Aa raha hai Yeshu tere dard mitane ko
Shakthi Yeshu naam main aaj bhi hai

​

Logon ne dhikaara useh
Par tha useh Yeshu pe yakeen
Man hi man usne yeh kaha
Ho jaaoonga changa main abhi

Shukriya

 

Shukriya

​

Based on: Isaiah 53, Luke 7:11-17, Matthew 27: 27-43
Words & Music by Ranjit Abraham

​

Ik aisa balidaan jo duniya ne dekha
Ik aisa prem jo swarg chod aaya
Duniya ke paapon se ek aisi mukti
Kai hazaar sadiyon ne kabhi nahi thi dek
hi

​

The hairan uske karm par
Jab usne murda jilaaya
Huve aazaad uske sparsh par
Aur prem ki nai bhasha woh sikhaya

​

Kaise karun tera shukriya Yeshu is pyaar ka
Tere charanon ke neeche main aa rahan hoon Khuda
Mere is nirbal shareer main aa bas jaa Pavithra Aatma
Tere charanon ke neeche main aa rahan hoon Khuda

​

Shakthi de, saamarth de
Aur phir de mujh ko apni kshama
Is kaabil tu mujhe yogya banaa
Bhatakne na paaoon zaraa

​

Giri Gulguta par, us kroosh ko lekar
Jaa raha Masiha, dukh dard thokar
Muh naa khuli uski jab use sataaya
Apnon ke liye bhi ban gaya woh paraaya

​

Huve hairaan uske bhaav se
Jab kaha ay pitha inhain maaf tu karna
Kuchala sar us shaitaan kaa
Aur kharida mujhe apne balidaan sai

Vedi Ka Angaara

 

Vedi ka Angaara

​

Based on: Isaiah 6:6, Revelation 1:16
Words & Music: Ranjit Abraham

​

Singhasan par woh viraajmaan
Uske vasthra ke gher se mandir me hai shaan
Ud… ud kar gaate sarap
Pavithra Yehova tu hai sarvada

​

Bhay bhakti ke main saat
Aa raha tere paas
Teri icchha mujhme poori hove
Tan, man, dhan aur ghutna
Tek rahan hoon apna
Tere pyar ke chaddar se mujhe odh le

​

Vedi kaa angaara meri aur la
Mere hont ko chu
Kar mere adharm, mere paap kshama
Mujhe kar kubul

​

Soorya samaan muh uska hai prakash
Pratham aur anthim jeevta
Uska hai raaj
Mrithyu ki kunji hai uske paas
Uske muckh se nikalta do dhari talwaar

Yeshu Hai Sahara

 

Yeshu Hai Sahara

​

Based on: Psalms 91
Words & Music: Ranjit Abraham

​

Zindagi ki har ek paher main
Aye aandhi ya toofan
Jeevan naiya main Yeshu baitha hai
Jisne kiya mujhe pyar

​

Charon aur kehar sa chaye 
Par wo mujh tak na aaye
Baheliye ke jaal, 
Mahamari se bachaaye
Ankhon ki putli samaan
Usne tujhe hai sambhala
Phir kyon vichalit hai tu,
Prabhu Yeshu hai sahara

​

Tere nikat hazaar girenge,
Dahine das hazaar,
Uske par ke tu neeche
Gaayega tu jaykar

​

Charon aur kehar sa chaye 
Par wo mujh tak na aaye
Baheliye ke jaal, 
Mahamari se bachaaye
Ankhon ki putli samaan
Usne tujhe hai sambhala
Phir kyon vichalit hai tu,
Prabhu Yeshu hai sahara

Yeshu Tu Hai Mahan

 

Yeshu Tu Hai Mahaan

​

Based on: Romans 14: 11
Words & Music: Ranjit Abraham

​

Dharti , gagan, parvat, nadiyan
Sare gayen milkar 
Mere aaradhana ke yogya Tu
Senaon ka raja, prabhu mera charwaha, 
Naya jeevan dene wala
Mere aaradhana ke yogya Tu

​

Yeshu.. Tu hai mahaan, Sarvshaktiman
Tere jaisa na koi
Karta hoon main khud ko taiyaar
Tera ashish aur pyar
Barsa mujh par aaj

​

Dharti , gagan, parvat, nadiyan
Sare gayen milkar 
Mere aaradhana ke yogya Tu
Senaon ka raja, prabhu mera charwaha, 
Naya jeevan dene wala
Mere aaradhana ke yogya Tu

​

Aayega woh din ek baar
Hoga angikaar prabhu Yeshu ka naam
Har ghutne jhukenge Yeshu, Tere naam,
Har zubaan bolegi 
Hai Yeshu mahaan

TABS

Coming Soon ...

bottom of page